Menu
blogid : 14732 postid : 3

matandhta

matandhta
matandhta
  • 3 Posts
  • 0 Comment

har bar me sochta hu ki humare desh me aarakshan kis basis pe banta ja rha hai aur har bar me ek hi natije pe pahunch jata hu ki ‘vote bank ki rajniti pe’. humara bharat ek vikas sheel desh hai jaha aaj bhi kai jagah gaon me ya anya jagah par kuch log atyant nikrasht jivan vyatit karte hai, jab humare samvidhan ka nirman hua to humare pujyawaro ne samvidhan me aarakshan ko is liye jagah di thi taki humari bhavi pidhi is nirdhanta aur samajik avhelna ke kuchakra se nikal kar visva me apna ek mukam hasil kar sake par aaj swatantra ke 67 saal bad bhi samaj me jo tabka pichda tha wo aaj bhi waisa hi hai, ha me manta hu ki kuch had tak halat me sudhar hua hai par us sudhar ka sahi artho me maja we log le rhe hai jinko iski koi jarurat nhi . aaj me dekhta hu ki aarakshan ka nag har jagah apna fan failaye khada hai …………….khas kar study ke field me me apne un sare vidwan netaon se jo sansad me baith kar aur 10 rs me bhar pet khana kha kar humare bhavishya ke liye niti ya yojnayein banate hai ki agar ek pichdi jati ka balak jo aarakshan ka sahara le kar ek medical clg me dakhila leta hai aur jo sirf 50% anko ke sath uttirn hai usko aarakhan de kar aise kisi pratibhashali student ki jagah le lena jisne ji tod mehnat karke 70% ank laye hai kaha ka nyay hai . aapko un garibo ke bare me bhi sochna chahiye aur sochna aapka kartavya hai jo ki pichde hai ki unhe aage kaise laaya jaye kya ye tarika theek hai……………………kadapi nhi ye bilkul galat tarika hai agar koi balak jiske man me ye dharna hai ki agar me 40% ank le aau to admission mil jayega wo padhega hi kyu…………….agar desh ki janta aur sarkar sach much un pichde bhaiyiyon ke hit me kam karna chahti hai to unhe aage badhne ke liye aarthik sahayeta pradan kare na ki ekdam se upar pahuncha de taki we mehnat karna hi na jane………… kya sarkar is tarah ka aarakshan de kar jatiwad ko badhawa nhi de rhi hai, agar aap sabhi aarthik aur samajik rup se pichde logo ko samaj ki mukhya dhara se jodna chahte hai to kya samaj me rhne wale un garib logo ka koi hak nhi jo samaj me rhte to hai par general hone ke karan sabhi suvidhaon se vanchit hai…….aap khud hi sochein ki ek student jo 40% ank la kar desh ke pratisthit sansthan me padhta hai kya is tarah aarakshan dene se uski yogyta us 70% wale student se jyada ho jayegi …………….nhi to kya is system ko thoda badalne ki jarurat nhi hai ki student ko uski kabiliyat ke dam par aage badhaya jaye aur aartik rup se pichde samast students ko aarthik sahayeta di jaye taki unka bhavishya ujjawal ho……..isme jatigat bhedbhav ko dur rakh kar sirf aarthik pichdepan ko aadhar banaya jaye………….taki bhart mata ke sabhi lal bina bhed bhav ke jivan jina seekhe………….agar har jagah aarakshan ka najariya badlana hai to sabko aage aana hoga……………..aajhar department me yahi hal hai barso purana clerk agar general hai to weh clerk hi reh jayega par uske bad aaye log agar aarakshan ki sreni me hai to uske senior ho jate hai ye kaha ka nyay hai………….kya us vyakti ka itna anubhav aarakshan ke samne kam hai jo bharat ko aage badhayega ..

aaj bhi hum usi jagah khade hai jaha aaj se 67 sal pahle the aaj gaon me wahi halat hai log bhukhe hai, par aarkashan ka labh un upar walon ne le rkha hai jo samajhdar aur har khetra me saksham hai unhe labh isliye mil rha hai kyuki we jati me pichde hai to kya ye jatigat bhed bhav nhi hai……….

har jagah har kshetra me soch badalne ki jarurat hai agar hume bharat ko aage lana hai aur duniya wahi pratistha dilana hai jo angrejo ke aur muglon ke aane se pahle thi…………..kya ye hum sabke samanta ke adhikaron ke viruddh nhi hai.

Tags:   

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply